Others

Best 150+ Rahat Indori Shayari in English With Images

Best 150+ Rahat Indori Shayari in English. RAHAT INDORI 2 LINES SHAYRI, RAHAT INDORI 4 LINES HINDI POETRY, RAHAT INDORI SHER O SHAYARI, Love Shayari of Dr. Rahat Indori, and Sad Shayari of Rahat Indori, Famous Rahat Indori Shayari Collection.

Rahat Indori, a very popular and loved Urdu poet (shayar) has created a void in our lives by departing to heaven. Rahat Indori, born as Rahat Qureshi, (1 January 1950 – 11 August 2020) was an Indian Bollywood lyricist and Urdu poet.

To know more about the Rahat Indori, Check this

Today we have tried to compile some famous poems written by Rahat Indori ji in one place to share on Facebook, Instagram WhatsApp, etc.

Best Rahat Indori Shayari in English

Best Rahat Indori Shayari in English

Aankh Mein Paani Rakho, Honton Pe Chingari Rakho,
Zinda Rehna Hai To Tarkiben Bahut Saari Rakho

Jhukne se rishta gehra ho toh jhuk jaao.
Par har baar aapko hi jhukna pare toh ruk jaao.

Meri Khwaish Hai Ki Aangan Mein Deewar Na Uthe,
Mere Bhai Mere Hisse Ki Zameen Tu Rakh Le

Teri kuchh baat hi alag hai,
Warna mai apne aap se bhi kam hi milta hoon

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain,
Itna Darte Hain Toh Ghar Se Nikalte Kyun Hain

Kabhi akele mein milkar jhinjod dunga usse,
Jaha jaha se woh toota hain jod dunga usse
Mujhe woh chhor gya yeh kamaal hain uska,
Irrada maine kiya tha ki chhod dunga usse.

Zindagi Ki Har Kahani Be-asar Ho Jayegi,
Hum Na Honge To Ye Duniya Darbadar Ho Jayegi,
Paaon Pathar Karke Chodegi Agar Jaiye,
Chalte Rahiye To Zameen Bhi Humsafar Ho Jayegi

Teri har baat mohabbat mein gawaara karke,
Dil ke bazaar mein baithe hain khasara karke,
Muntjir hoon ke sitaaro ki zara aankh lage,
Chaand ko chatt pe bula lunga ishaara karke.

Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye
Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohabbat ho jaye,
Door hum kitne dino se hain ye kabhi gaur kiya
Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye.

RAHAT INDORI 2 LINES SHAYRI

Haath khaali hain tere shahar se jaate jaate
Jaan hoti to meri jaan lutaate jaate
Ab to har haath ka patthar hamein pahchanta hai
Umar gujari hai tere shahar mein aate jaate.

RAHAT INDORI 2 LINES SHAYRI

Roz Taaron Ko Numaish Me Khalal Padta Hai,
Chand Pagal Hai Andhere Me Nikal Padta Hai.

Main aakhir kaun sa mausam tumhare naam kar deta
Yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi

Wo chahta tha ki kaasa kharid le mera
Main us ke taj ki kimat laga ke laut aaya.

RAHAT INDORI 4 LINES HINDI POETRY

Uss ki yaad aayi hain zara aahista chalo
Dhadkano se bhi ibaadat mein khalal parta hain

Na humsafar na kisi hum- nasheen se niklega,
Hamare paanv ka kaanta hamin se niklega.

RAHAT INDORI SHER O SHAYARI

Janaaze Pe Mere Likh Dena Yaaron,
Mohabbat Karne Waala Jaa Raha Hai.

Ajnabi Khwaishein Seene Me Daba Bhi Na Sakun,
Aise Ziddi Hai Parinde Ki Uda Bhi Na Sakun!

Hum Ab Makaan Mein Taala Lagane Wale Hai,
Pata Chala Hai Mehmaan Aane Wale Hain

Zubban to khol, najar to mila, jawaab to de,
Mai kitni baar luta hoon mujhe hisaab to de
Tere badan ki likhawat main hain utaar chadaav
Mai tujhe kaise padhunga mujhe kitaab to de..

Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhoon
Ho izzazat to haath lagaakar dekhoon
Dil ka mandir bada veeran nazar aata hai
Sochta hoon teri tasveer lagakar dekhoon

RAHAT INDORI 4 LINES HINDI POETRY

Ek Hi Nadi Ke Hain Ye Do Kinare Doston,
Dostana Zindagi Se, Maut Se Yaari Rakho

Hum Se Pehle Bhi Musafir Kai Guzre Honge,
Kam Se Kam Raah Ke Pathar Toh Hatate Jaate!

Pyaas Toh Apni Saat Samundar Jaisi Thi,
Nahaq Humne Baarish Ka Ehsaan Liya.

Maine dil de kar usse ki thi wafa ki ibtidaa,
Usne dhoka de ke ye kissa mukammal kar diya.
Sheher mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun hai,
Jis ne acche khaase ik sheher ko paagal kar diya.

Aate jaate hain koi rang mere chehre par,
Log lete hain maja jikr tumhara kar ke

Katl karne ki khuli choot hain ab bhi lekin
Pyaar mat karna, yaha pyaar pe pabandi hain

Yun Toh Har Phool Par Likha Hai Todo Mat,
Dil Machalta Hai Toh Kehta Hai Chodo Mat

Kisne dastak di dil par, kaun hai?
Aap to andar hain, bahar kaun hai?

Phoonk dalunga mai kisi roz dil ki duniya,
Ye tera khat toh nahin hai ki jala bhi na sakun.

Kahin Akele Mein Mil Kar Jhinjhod Dunga Use,
Jahan Jahan Se Won Toota Hai, Jod Dunga Use,
Mujhe Wo Chod Gaya Ye Kamaal Hai Uska,
Irada Maine Kiya Tha Ki Chod Dunga Use

RAHAT INDORI SHER O SHAYARI

Faisla jo kuch bhi ho, hamein manjoor hona chahiye
Jang ho ya ishq ho, bharpoor hona chahiye
Bhoolna bhii hain, jaroori yaad rakhne ke liye
Paas rahna hai, to thoda door hona chahaie

Ek ek harf ka andaaz badal rakha hai,
Aaj se humne tera naam ghazal rakha hai,
Maine shaho ki mohabbat ka bharam tod diya,
Mere kamre mai bhi ek tajmahal rakha hai..

Choo gaya jab kabhi khayal tera,
Dil mera der tak dhadkta raha.
Kal tera zikr chid gaya tha ghar mein,
Aur ghar der tak mehekta raha.

Haath Khali Hai Tere Sheher Se Jate Jate,
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jate,
Ab To Har Haath Ka Patthar Hame Pehchaanta Hai,
Umr Guzri Hai Tere Sheher Me Aate Jaate.

Khoob hai shaq ka yeh pehlu
Mai bhi barbaad ho gya Aur tu bhi

Ishq Me Gunje The Jo Gajre, Nukile Ho Gaye
Tere Hath Me To Ye Kangan Bhi Dheele Ho Gaye
Phool Bechare Akele Reh Gaye Hai Shaakh Par
Gaaon Ki Sab Titliyon Ke Saath Peele Ho Gaye.

Mai Marr Jaun To Meri Ek Alag Pehchaan Likh Dena,
Lahu Se Meri Peshaani Pe Hindustaan Likh Dena.

Ijhaar-e-ishq ki khaatir kyi alfaaz soche the,
Khud hi ko bhul baithe hum, jab tum saamne aaye!

Apni Pehchaan Mitane Ko Kaha Jata Hai, Bastiyan Chhodkar Jaane Ko Kaha Jata Hai,
Pattiyan Roz Gira Jaati Hai Zehreeli Hawa, Aur Hume Ped Lagane Ko Kaha Jaata Hai.

Ab Na Main Hoon Na Baki Hai Zamane Mere,
Phir Bhi Mashhoor Hai Shehron Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai To Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
Ab Bhi Baaki Hai Kai Dost Purane Mere

Famous Rahat Indori Shayari Collection

Saal bhar ird ka raasta nhi dekha jaata
Wo gale mujh se kisi aur bahaane lag jaye

Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe,
Jab tak tumhare haath mere haath me rahe,
Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum,
Aandhi se koi keh deki aukaat me rahe

Safar Ki Had Hai Wahan Tak Ki Kuch Nishaan Rahe,
Chale Chalo Ki Jahan Tak Ye Aasmaan Rahe, 
Ye Kya Uthaye Kadam Aur Aa Gayi Manzil,
Maza Toh Tab Hai Ki Pairon Mein Kuch Thakaan Rahe

Nahi Hawaaon Ki Sohbat Bigaad Deti Hai,
Kabootro Ko Khuli Chat Bigaad Deti Hai, 
Aur Jo Jurm Karte Hain Itne Bure Nahi Hote,
Saza Na Dekar Adaalat Bigad Deti Hai

Jo mera dost bhi hain, mera humnawa bhi hain,
Wo shaks sirf  bhala hi nahi, bura bhi hain
Main pujta hoon jise, usse beniyaj bhi hoon,
Meri najar mein woh patthar bhi hain, khuda bhi hain

Phook Dalunga Main Kisi Roz Dil Ki Duniya,
Ye Tera Khat Thode Hi Hai Ki Jala Bhi Na Sakun

Main woh dariya hu ki har boond bhanwar hai jiski,
Tumne accha hi kiya mujhse kinaara karke.

Chiragon Se Gharana Chal Raha Hai,
Hawa Se Dostana Chal Raha Hai, 
Naye Kirdaar Aate Jaa Rahe Hain,
Magar Natak Purana Chal Raha Hai

Ban Ke Ek Hissa Akhbaar Mein Aa Jayega,
Jo Nahi Hoga Wo Akhbar Mein Aa Jayega,
Chor Uchkkon Ki Karo Kadar,
Kya Maloom Kaun Kab Kaunsi Sarkaar Mein Aa Jayega

Meri saason mein samaaya bhi bahut lagta hain,
aur Wahi shaks paraya bhi bahut lagta hain
Usse milne ki tamanna bhi bahut hain
Lekin aane jane meinkiraaya bhi bahut lagta hain

Love Shayari of Dr. Rahat Indori

Jis din se tum ruthi, mujhse, ruthe ruthe hain
Chadar wadar, takiya wakiya, bistar wistar sab
Mujhse bichad kar, wo bhi kaha ab pehle jaisi hain
Fike par gaye kapre wapre, jebar webar sab

Sheher Kya Dekha Ki Har Mazar Mein Jaale Pad Gaye,
Aisi Garmi Hai Ki Peele Phool Kaale Pad Gaye.

Sirf Khanjar Nahi Aankhon Mein Paani Chahiye,
Ae Khuda Mujhe Dushman Bhi Khandaani Chahiye.

In Raaton Se Apna Rishta Jaane Kaisa Rishta Hai, 
Neend Kamro Mein Jaagi Hai, Khwaab Chhaton Par Bikhre Hain.

Phulon ki dukaan kholo, khusbu ka byapaar karo
Ishq khata hain toh, ye khata ek baar nhi, sau baar karo

Tujhe bhulane ki tarkeeb soch rakhi hai
Bass ek sharab ka bottal davoch rakhi hai

Main Aakhir Kaunsa Mausam Tumhare Naam Kar Deta, 
Yahan Har Ek Mausam Ko Guzar Jaane Ki Jaldi Thi

Ye Hawayein Ud Na Jayein Le Ke Kaghaz Ka Badan, 
Doston Mujh Par Koi Pathar Zara Bhari Rakho.

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye,
Dushmano Se Bhi Rai Lee Jaye

Muntazir Hoon Ki Sitaron Ki Zara Aankh Lage,
Chaand Ko Chhat Par Bula Loonga Ishara Karke.

Read Also: Best 150+ Rahat Indori Shayari in Hindi With Images.

Love Shayari of Dr. Rahat Indori

Jawaan aankhon ke jugnoo chamak rahe honge
Ab apne gaon me amrood pak rahe honge
Bhulade mujhko magar, meri ungaliyon ke nishaan
tere badan pe abhi tak chamak rahe honge

Kabhi Mehek Ki Tarah Hum Gulon Se Udte Hain,
Kabhi Dhue Ki Tarah Parvaton Se Udte Hain,
Ye Kaichiyan Hume Udne Se Khaak Rokengi,
Ki Hum Paro Se Nahi Hauslon Se Udte Hain

Jugnuon Ko Sath Lekr Raat Roshan Kijiye,
Raasta Sooraj Ka Dekha Toh Seher Ho Jayegi.

Afwah Thi Ki Meri Tabiyat Kharab Hai,
Logon Ne Pooch Pooch Kar Beemar Kar Diya, 
Do Gaz Sahi magar Ye Meri Malkiyat To Hain,
Ae Mout Tune Mujhko Zameedar Kar Diya.

Yahan Dariya Par Pabandi Nahi,
Magar Pehre Labon Par Lag Rahe Hain.

Kisi se haath bhi chup kar milaaiye
Warna ise bhi maulvi shab haram keh denge

Zubaan Toh Khol, Nazar Toh Mila, Jawaab Toh De,
Main Kitni Baar Luta Hoon, Mujhe Hisab Toh De.

Duniya Bhi Kisi Fakeer Ke Hujre Se Kam Nahi,
Duniya Yahin Par Laa Kar Chupa Deni Chahiye.

Raat ki dhadkan jab tak jari rehti hai
Sote nahin hum zimmedari rehti hai
Jab se tu ne halki halki baaten ki
Yaar tabiyat bhaari bhaari rehti hai.

Bulati Hai Magar Jaane Ka Nahi, Ye Duniya Hai Idhar Jaane Ka Nahi,
Mere Bete Kisi Se Ishq Kar, Magar Had Se Guzar Jaane Ka Nahi
Zameen Bhi Sar Par Rakhni Ho To Rakho, Chale Ho Toh Teher Jaane Ka Nahi,
Sitaare Noch Kar Le Jaunga, Main Khali Haath Ghar Jaane Ka Nahi,
Ye Duniya Chodna Manzoor Lekin, Watan Ko Chod Kar Jaane Ka Nahi.

We Hope You like this ” Best Rahat Indori Shayari in English, RAHAT INDORI 2 LINES SHAYRI, RAHAT INDORI 4 LINES HINDI POETRY, RAHAT INDORI SHER O SHAYARI, Famous Rahat Indori Shayari Collection, Love Shayari of Dr. Rahat Indori, Love Shayari of Dr. Rahat Indori ” Post. Do share it with your Friends and family. For More Awesome Quotes & Shayari, Check DeepShayariQuotes Home Page.

2 Replies to “Best 150+ Rahat Indori Shayari in English With Images

  1. Quality articles is the secret to be a focus for the users to pay a visit the web site, that’s what this web site is providing.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *